Lern Computer Programming Internet and Technology Tips and Tricks in Hindi Langauge

Ms- Word me Insert Menu kya hai,

Insert Menu Kya hai




 Is menu ki helps se document me bahut saare object ko joda ja sakta hai. aur hum apne document ko effective bana sakte hai. isme totally 18 option use  hote hai.

1. Cover Page :  Is option se document ke cover me koi bhi style ya photo ko insert kar sakte hai.

2. Break : Is option se document ko (विभिन्न प्रकार) se break kar sakte hai. is box me 2 option  hote hai.

  • Break Type:-  Is option me page break, column break and Text wrapping ko alag alag style me break kar sakte hai

  • Section Break Types:- Is option ke through  page ko break karke next page me ja sakte hai. Odd and Even page ko joda ja sakta hai. Inme se koi ek option ko ek time me use kar sakte hai

3. Table:- Is Option ki help se hum apne document me table style add kar sakte hai.

4. Picture:- Is Option ki help se hum apne document me picture laga kar ek effective look de sakte hai.

5. Clip Art:- Is Option ki helps hum document me  Media file, audio, video aur clip ko add kar sakte hai.

6. shapes:  Is option ki helps se hum apne document me Text box, Line, Arrow, Rectangle, Oval, aur bhi bahut saari shapes ko insert kar sakte hai. Is option me hum SmartArt, Chart aur screenshot ko bhi add kar sakte hai.

7. HyperLink:- Is option ke through hum document me Links aur folder ko insert kar sakte hai. Is option me 2 option hote hai.

  • Bookmark:- Is option ke through document me point name ki tarah bookmark dal sakte hai. 
  • Cross- Reference:- Is option ke through hum document ke under heading, Bookmark, Equation, Figure ko hyperlink ke rup me daal sakte hai.

8. Header:- Is option ke through hum page ka Head  apne according design kar sakte hai. 

9. Footer:- Is option ke througn hum page ke last me  (footer) ko apne according design kar sakte hai.

10. Page Number:-  Is option ke through hum pages me number dal sakte hai.

11. Text Box:- Is option  ke through hum apne document ke Left, right, top, button me Text ko box ke under insert kar sakte hai.

12. Quick Parts:- Is option ke through hum document me Auto Text, Document property aur Field ko check aur set kar sakte hai.

13. WordArt:-  Is option ke through hum text ko ek alag look de kar design kar sakte hai.

14. Signature Line:-  Is option ke through page me apna signature line insert kar saakte hai. 

15. Date & Time:-  Is option ke througn hum apne page me kahi par bhi date aur time daal sakte hai. 

16. Object:- Is option ke through hum apne document me object create kar ke excel file, adobe acrobat document ko apne page par insert kar sakte hai.

17. Equation:- Is option ke through hum apne page me mathmatical equation, function ko insert kar sakte hai.

18. Symbol:-  Is Option ke througn hum apne document me symbol like-  Euro Sign, Pound Sign, Yen Sign, Trade mark sign etc. aur bhi bahut saare symbols ka use kar sakte hai.

So Ms- word me insert menu kya hai aur isme kyon kyon se option kyon kyon sa work karte hai. is baare me ye jankari kaise lagi. aur in option ka use karne koi problem a rahi hai to plz Comment ke through puch sakte hai. aur agar ye post apko achi lagi ho to share jarur kare.  

Step 4.