Lern Computer Programming Internet and Technology Tips and Tricks in Hindi Langauge

Adsense लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Adsense लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Blog Banane ke baad Adsense Ke Liye Kab Apply kare in Hindi:

Blog Banane ke baad Adsense Ke Liye Kab Apply kare:




 Hello Dosto hamane apne pichle artical me bataya tha ki Google AdSense Kya Hai? Aur AdSense Me Account Kaise Banaye aur is artical me hum baat karege ki blog banane ke baad adsense ke liye kab apply kare. kyoki adsense  account pana har blogger ki zaroorat hai aur sapna bhi. Har blogger jab blog banata hai to wo usse paise kamane ke bare me sochne lagta hai, aur jisme adsense uski pahli pasand hota hai. Lekin adsense  account  pane ke liye bahut kuch karna padta hai. Jab kisi ke paas adsense account nahi hota hai to bhi wo blog se kamayi kar sakta hai, to blog se kamane ke bahut log google adsence se hi earning karte hai to hum aapko is artical me bataye ge ki blog banane ke baad adsence ke liye kab apply kare.

Adsense ke liye kab apple kare 

Jab aapka blog kisi level par pahuch jata hai tab aapko isse kamayi ka man karne lagta hai, ye swabhavik hai, hum mehnat kar rahe hain to kuch pane ke liye. But isse dusaro ki help bhi ho jati hai aur kamayi bhi. Kuch bate hain jinko follow karke aap Adsense ke liye apply kar sakte hai. To aap is artical ko pura read kare.

Hindi Me Blog Banaye 

Blog chahe hindi me ho ya english me adsense ab dono ke liye apply kiya ja sakta hai. 2011 se hindi ke liye adsense apply karna allow kiya gaya tha, lekin kuch 1 saal se ye note kiya hai maine ki hindi bhasha ke blogs ko adsense approval bahut jaldi mil raha hai. Agar aap india me hain to aap sabse pahle ek 25 se 30 article ka ek hindi blog banaye, fir aap isme apni english website bhi jod sakte hain. ye main adsense trick hai.phir Adsense ke liye apply kare.


Blog design

Adsense apply karne se pahle ye dhyan dena bahut zarrori hai ki apke blog ka design kaisa hai. Agar jamane ke sath aap nahi chal rahe hai to aap peeche hain, aur agar aap peeche hain to technology ke bare me aapko nahin pata hai, isliye update rahna bahut zaroori hai. Blog ki design ki baat kare to aap niche diye gaye point ko follow karke apne blog ko design kar sakte hai.




  • Blog Responsive hona chahiye
  • Blog simple look ka ho
  • Kisi ek theme based color ka hi istemal kare.
  • Mobile friendly hona chahiye.
  • seo friendly hona chahiye 


Blog Content:

Agar aapka blog hindi me hai to aapko jyada mehnat nahi karni hai, uska sabse bada karan hai ki hindi blogs me competetion abhi kam hai aur wahi english blogs me competition bahut jyada hai. To aapko content ki jyada fikar nahi karni hai bas itna dhyan rakhna hai ki aapka blog kuch bato ko follow karta ho jo point hum aapko niche bata rahe hai.


  • Copy na kare, Agar aap bhi same topic par likh rahe hain to use apne tareeke se likhe. Kisi aur ke Point's ko copy na kare.
  • Article kam se kam 300 word ke hone chahiye. isse jyada ho to bhi achha rahega aapke blog ke liye.
  • Blog me jyada images use na kare, nahi to speed kam ho jayegi. Aur blog par topic se related Image upload Kare. 
  • Sitemap- aap apni site Ka site map banakar google aur bing webmaster me submit kare isse adsense ko aapki site ki jankari pta karna aasan ho jata hai. aur apke adsense account block hone ke chance kam hota hai. Aur iske sath hi approval hone ke change bhi badte hai 
  • Bounce Rate -Visitors aap ki website par kitni der tak rukte hai aur kitni posts and pages ko read karte hai adsense ish par bhi nirbhar karti hai maine aapko artical length  wali point par hi bata chuka hi aapke article me minimum 600 words hone chahiye agar aap chahte hai ki visitors aap ki website par jyada der tak ruke to article ko lamba or attractive likhiye. Iskeliye aap kisi editor ka use bhi kar sakte hai apne artical ko attractive banane ke liye.




SEO (Search Engine Optimization) kare:

Pahle to aap ye soch le ki aap jis blog se kamane ka soch rahe hain, google adsense usse pahle sochta hai. Kyo ki jab aap kamayi karoge to wo bhi karega. Lekin wo use approval pahle dega jo search me pahle aate honge, kyo ki wahi use kamane ka bhi mauka denge. Isliye aapko apne har article ko aise likhna hai ki wo seach me pajle no par aaye aur uski search rank jaldi improve ho.
To dost blog banane ke baad Adsense ke liye kab apple Kare ki jankari kaisi lagi hame comments ke through jarur bataye aur is artical ko share kare.

Google AdSense Kya Hai? Aur AdSense Me Account Kaise Banaye

Hello Dosto. is artical me hum aapko bataye ge ki google AdSense  Kya hai aur google AdSense  me Account Kaise Banaye. Kyoki agar aapke pass blog ya website hai to aapko AdSense  ke baare me jarur pata hoga aur agar nahi hai to hum aapko is artical me google AdSense  kya hai aur isme apna accountb kaise banane ki puri jankari dene wale hai. to aap is artical ko pura padhe taaki aap ke samgh me aa jaye ki  AdSense  kya hai. to chaliye sabse pahte baat karte hai ki google adsence kya.

Google AdSense Kya Hai


Google Adsense ek cost-per-click advertising network hai. Adsense Google company ka hi ek CPC (cost-per-click) advertisement program hai. Jise aap apne website, blog ya youtube channel pe laga kar monitraze kar ke paise kama shakte hai.

Example : Google jab bhi kisi website par ads lagata hai toh wo us website ya blog ka content, visitor sab kuch dhyaan me rakh kar hi website ke matlab ke hi ads lagata hai.
Adsense isliye famous hai kyoki uski earnings aur Ads quality sabse bhadiya hai. Google ka hone ke kaara aap Adsense ke technology par bharosa bhi kar sakte hai.


  • Google AdSense Me Account Kaise Banaye
Google AdSense  Me Account Banane ke liye aapko kuch simple setps ko follow karna hai. Lekin dhayan rahe ki account banate time koi bhi galat information fill nahi karna hai jisse aapko baad me problem na ho. to AdSense  me account banane ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.










  1. Sabse Pahle Aap AdSense.Com Par Jaye.

    1. Ab Sign Up Now Par Click Karete hi apke samne ek aur window khulegi.






    2. Ab sabse upar apne website Ka URL dale. then email address then.
    3. Ab Save And Continue Par Click karte hi aapke samne Adsense page ki ek aur window kulegi.



    • First Me Apni Country Name select karna hai.
    • Apne country ka time jaise India ka 5.30 hai ko select Kare. 
    • Apne kaam ka option select Kare jaise business karna chahte hai to ko select kare.
    • Apni company ka name likhe. name wahi likhe jis name se Bank account ho.
    • Apna address enter kare. Sahi pata hona chahiye. 
    • Apne city ka name enter kare.
    • Apne State ka name enter kare.
    • Pin code enter Kare.  Pin code ussi jagah ka bhare jaha aap rahte hai galat na bhare aur agar aapko Nahi pata hai to kisi se puch le.
    • Apna name enter kare. Aap apna Ashli name hi bhare.
    • Apna mobile number enter kare aur verify par click karege to aapke pass ek call aayegi jisme aapko verified code aayega use bhare.
    • Ab aap apni saari jankari check kar le ki kahi bhi koi galti na ho. Aur agar saari information sahi hai to submit my application par click Kare. 
    Ab aapka Google Adsense account ban kar taiyar ho chuka hai bas approval hona baaki hai. Jab aapka Adsense account approval ho jayega to aapke gmail me ek mail aayega aur aapka account  approval ho jayega. is process me 5-6 days ka time lag sakta hai.
    Agar aap ko Adsense me account banane me koi problem hai to aap comments ke through puch sakte hai. Aur agar yah jankari achi lage to like aur apne dosto ke sath share kar



    Step 4.

    category