Lern Computer Programming Internet and Technology Tips and Tricks in Hindi Langauge

6 Tips SEO Post Title Ke Liye

6 Tips SEO Post Title Ke Liye 
Seo ke liye
Hello dosto. IT support ke is article hum aapko bata ne wale hai ki blog title post likh ne ke top 6 tips jinko follow karke aap apne blog ka traffic increase kar sakte hai. Aur apne blog ki  google search me ranking bhi badha sakte hai. Isliye aap is article ko pura padhe aur apne blog or website ka traffic badhaye

Maximum blog ke creators ko ye pata nahi hota hai ki ek awesome blog title ko kaise likhte hai. Aur kya aap ko pata hai ki koi aapki post par click kyo nahi karta hai. Aur aapko kyo google se traffic nahi milta hai. Aap sab kuch sahi karte hai but blog titleacha na hone  ke karan aapke blog par jayada traffic nahi a sakta hai. agar aapki post me good content hai. Lekin aapka title sahi nahi hai. Jiss ke karan aapke content par log click karne me interested nahi hote hai.
Saare blog owners successful hone ke liye hamesha awesome content likh te rahte hai. Aur regular content likh ne ke  baade bhi aapko badhiya result nahi milta hai. To is ka main karan hai blog title. Aur agar aap blog title ko attractive nahi likge to  aap apne reader ko achi tarah se impress nahi kar payege.  Aur google se aapka blog traffic bhi kam hota chala jayega.. Lekin aaj ke is article me hum aapko excellent blog post/title ko likhne ke top 7  Tips batane wale hai. Jinko follow karke aap aapne reader attract kara sakte hai. Aur apne blog ka traffic badha sakte hai.
Awesome Post Title Likhne ke liye 6 Tips-
1. Number Ka Use Kare: Ek bahut hi achi post likhne ka  ek bahut hi acha aur common tarika hai ki aap apne blog post ke title me number ka use kare. Kyoki bahut se pro-bloggers post title me numbers ka hi use karte hai. Aap apne post ki condition ke according hi post ke title me numbers ka use kare. Jaise humne is article ke title me 6 ka use kiya hai.isliye aap koi bhi number apne article me use kar sakte hai.
2. Why(Kyo), When(Kab), aur How(Kaise) Ka use kare:  Aap hamesha apne blog post ke title me  Why, When aur How ka use kare. Kyoki hamesha reader kuch na kuch janne ki koshis karte rahte hai. Jaise Why something is important, why something is need, thik ussi tarah when doing the task, aur how to do anything, in sabhi example se aap samgh gaye hoge ki why,when aur how  ka use blog post title me karna kitna important hai. Aur yadi aap is tarah ke content aapne blog post ke title me karege to aapke readers ke pass ek direct messege jayege aur who aapke article badne me intrest dikhega.

3. Interesting Word Ka Use Kare: Aap interesting word ka use karte apne post title me kare. Kyoki log hamesha attractive chizo ko jayada pasand karte hai. Is liye aap kuch fabulous word ka use kare. Hamesha excellent, secret, brilliant, awesome, solid etc. word ka use hi kare.

4. Post Title Ko Short Aur Sweet Rakhe:  Apne post title ko jaha tak ho sake short aur sweet rakhe.Kyo ki reader kabhi bhi traditional long aur boring title ko padhne apna time nahi west karte hai, isliye hamesha title ko chota aur sweet hi rakhe. Agar hum title ke length ki baat kare to 30-70 letters ke title ko seo friendly hote hai. Aur aap bhi apne post title ko 30-70 lettrs ke under hi rakhe.isse jayada lenth ka title google me bhi pura nahi dikhta. Isliye aap apne title ko chota hi rakhe kyo ki isse aapke blog ka traffic bhi increase hoga.

5. Post Title Clear Value Ho: Apke post ka title clear hone ke sath sath asaani se samgh me ana chahiye , yadi aap fancy aur complex title rakhte hai to ye people ko samjhne me bahut hi hard lagta hai. Isliye jab bhi blog post ka title likhe to who clear likhe.

6. Post Title Problem Solver Hona Chahiye:  Aap ye koshis kare ki aapke blog post ke title ke keyword ko problem solver hona chahiye. Aap is tarah ke keyword Ka use title me karna chahiye jo clear idea se particular problem ko solved hona chahiye. Isliye aap apne post title ko problemsolving rakhe. 

Ek acha post title likhna koi badi baat nahi hai. Aur aap apne post ki heading bhi attractive rakhe isse aap apne blog audience ko impress kar sakte hai. Aur iske throught aap apne blog ka traffic bhi increase kar sakte hai. 
Yadi aapko hamare is article me koi bhi interesting chiz lagi ho to hume comment ke through jarur bataye. Aur Agar aapko is article se related koi sawal hai to hume comment ke through jarur bataye . So dear aapko ye article pasand to aya hi hoga to isse social media par share jarur kare.



Step 4.