Lern Computer Programming Internet and Technology Tips and Tricks in Hindi Langauge

Characteristics of a Good Program

Hume c programming langauge jo program banate hai. unhe likh te time kuch important points ko dhayan me rakh kar hum apne program ko easy bana sakte hai. to chaliye jan te hai ki ek ache programs ki characteristic kya hai.

Characteristics of a Good Program

1. Reliability(विश्वशनीयता).


Yah sabse jaruri hai ki program bina kisi problems ke wahi kaam kare jiske liye use banaye gaya ho. for examples - jaise ki hamne ek aisa  program  banaye jisme kisi संख्या  ko 2+2 sum karne ke liye banaya gaya hai. to programs ki jo output hogi woh 4 hai. is ko dhayan rakhna hai jisse program sahi result de sakhe.

2. Flexibility(लचीलापन).


Humara program is tarah ka hona chahiye ki jab bhi hame jarurat padhe to usme new steps ko joda ja sake ya kisi steps ko hataya ja sake. ise program ki Maintainability kaha jata hai. For examples- jaise kisi program me hum 20 years ka ब्याज दर nikalte hai. kuch time baade hume agar 25 years ka ब्याज दर nikalna chahe to nikal sake. isme hume koi problems na ho iske liye hume apne program ko flexibilal bana chahiye.

3. Portability.


Program ko is tarah se likha na chahiye ki ek computer par develop kiya gaya program bina phir se compile kiye bina kisi aur computer par bhi execute ho sake. iske liye program ko portability banana chahiye.

4. Readability.

Humare program me step by step easi टिप्पणिया honi chahiye jisse program ka flow aur program ka उद्देशय  bata chal sake ki program kis ke liye aur kyo banaya gaya hai.

5. Performance.


Hamare program me minimum time me jayada se jayada aur acha result milna chahiye.iske liye aap apne program ki performnce ka bhi dhayan rakhe.

Hume apne program ko ek good program banane ke liye ye 5 steps ko follow karke hi ek best program banaya ja sakta hai. to dosto apko ye artical kaisa laga plz comment ke through hume bataye.




Step 4.